parinde ki fariyaad aataa hai yaad mujh ko guzraa huaa zamaana

Allama Iqbal

Aataa hai yaad mujh ko guzraa huaa zamaana Vo baagh kee bahaaren wo sab kaa chahchahaanaa Aazaadiyaan kahaan wo ab apne ghonsle kee Apnee khushee se aanaa apnee khushee se jaanaa Lagtee hai choT dil par aataa hai yaad jis dam Shabnam ke aan.suon par kaliyon kaa muskuraanaa Vo pyaaree pyaaree soorat wo kaamanee see moorat Aabaad jis ke dam se tha meraa aashiyaanaa Aatee nahin sadaa.en us kee mire qafas men Hotee miree rihaa.ee ai kaash mere bas men Kyaa bad-naseeb hoon main ghar ko taras raha hoon Saathee to hain vatan men main qaid men paDaa hoon Aa.ee bahaar kaliyaan phoolon kee hans rahi hain Main is andhere ghar men qismat ko ro raha hoon Is qaid kaa ilaahee dukhDaa kise sunaa.oon Dar hai yaheen qafas men main gham se mar na jaaon Jab se chaman chhuTaa hai ye haal ho gaya hai Dil gham ko khaa raha hai gham dil ko khaa raha hai Gaanaa ise samajh kar khush hon na sunne vaale Dukhte hue dilon kee fariyaad ye sadaa hai Aazaad mujh ko kar de o qaid karne vaale Main be-zabaan hoon qaidee too chhoD kar duaa le! Aata hai yaad mujh ko guzra hua zamana Wo bagh ki bahaaren wo sab ka chahchahana Aazadiyan kahan wo ab apne ghonsle ki Apni KHushi se aana apni KHushi se jaana Lagti hai choT dil par aata hai yaad jis dam Shabnam ke aansuon par kaliyon ka muskurana Wo pyari pyari surat wo kaamani si murat Aabaad jis ke dam se tha mera aashiyana Aati nahin sadaen us ki mere qafas mein Hoti meri rihai ai kash mere bas mein Kya bad-nasib hun main ghar ko taras raha hun Sathi to hain watan mein main qaid mein paDa hun Aai bahaar kaliyan phulon ki hans rahi hain Main is andhere ghar mein qismat ko ro raha hun Is qaid ka ilahi dukhDa kise sunaun Dar hai yahin qafas mein main gham se mar na jaun Jab se chaman chhuTa hai ye haal ho gaya hai Dil gham ko kha raha hai gham dil ko kha raha hai Gana ise samajh kar KHush hon na sunne wale Dukhte hue dilon ki fariyaad ye sada hai Aazad mujh ko kar de o qaid karne wale Main be-zaban hun qaidi tu chhoD kar dua le!