puuchh us se ki maqbuul hai fitrat ki gavaahii

Allama Iqbal

Poochh us se ki maqbool hai fitrat kee gavaahee Too saahib-e-manzil hai ki bhaTkaa huaa raahee Kaafir hai musalmaan to na shaahee na faqeeree Momin hai to kartaa hai faqeeree men bhee shaahee Kaafir hai to shamsheer pe kartaa hai bharosaa Momin hai to be-tegh bhee laDtaa hai sipaahee Kaafir hai to hai taaba-e-taqdeer musalmaan Momin hai to wo aap hai taqdeer-e-ilaahee Main ne to kiyaa parda-e-asraar ko bhee chaak Dereena hai teraa maraz-e-kor-nigaahee