raam labrez hai sharaab e haqiiqat se jaam e hind
— Allama Iqbal
Labrez hai sharaab-e-haqeeqat se jaam-e-hind
Sab falsafee hain khitta-e-maghrib ke raam-e-hind
Ye hindiyon kee fikr-e-falak-ras kaa hai asar
Rif.at men aasmaan se bhee oonchaa hai baam-e-hind
Is des men hue hain hazaaron malak-sarisht
Mash.hoor jin ke dam se hai dunya men naam-e-hind
Hai raam ke vajood pe hindostaan ko naaz
Ahl-e-nazar samajhte hain is ko imaam-e-hind
Ejaaz is charaagh-e-hidaayat kaa hai yahee
Raushan-tar-az-sahar hai zamaane men shaam-e-hind
Talvaar kaa dhanee tha shujaa.at men fard tha
Paakeezgee men josh-e-mohabbat men fard tha
Labrez hai sharab-e-haqiqat se jam-e-hind
Sab falsafi hain KHitta-e-maghrib ke ram-e-hind
Ye hindiyon ki fikr-e-falak-ras ka hai asar
Rifat mein aasman se bhi uncha hai baam-e-hind
Is des mein hue hain hazaron malak-sarisht
Mashhur jin ke dam se hai duniya mein nam-e-hind
Hai ram ke wajud pe hindostan ko naz
Ahl-e-nazar samajhte hain is ko imam-e-hind
Ejaz is charagh-e-hidayat ka hai yahi
Raushan-tar-az-sahar hai zamane mein sham-e-hind
Talwar ka dhani tha shujaat mein fard tha
Pakizgi mein josh-e-mohabbat mein fard tha