sakhtiyaan kartaa hoon dil par gair se gaafil hoon main

Allama Iqbal

Sakhtiyaan kartaa hoon dil par ghair se ghaafil hoon main Haa.e kya achchhee kahee zaalim hoon main jaahil hoon main Main jabhee tak thaa ki teree jalva-pairaa.ee na thee Jo numood-e-haq se miT jaataa hai wo baatil hoon main Ilm ke Dariya se nikle ghota-zan gauhar-ba-dast Vaa.e mahroomee khazaf chain lab saahil hoon main Hai miree zillat hee Kuch meree sharaafat kee daleel Jis kee ghaflat ko malak rote hain wo ghaafil hoon main Bazm-e-hastee apnee aaraa.ish pe too naazaan na ho Too to ik tasveer hai mahfil kee aur mahfil hoon main DhoonDhtaa phirtaa hoon main 'iqbaal' apne-aap ko Aap hee goyaa musaafir aap hee manzil hoon main