taraana e hindii saare jahaan se achchhaa hindostaan hamaaraa
— Allama Iqbal
Saare jahaan se achchhaa hindostaan hamaaraa
Ham bulbulen hain is kee ye gulsitaan hamaaraa
Ghurbat men hon agar ham rahtaa hai dil vatan men
Samjho vaheen hamen bhee dil ho jahaan hamaaraa
Parbat wo sab se oonchaa ham-saaya aasmaan kaa
Vo santaree hamaaraa wo paasbaan hamaaraa
Godee men kheltee hain is kee hazaaron nadiyaan
Gulshan hai jin ke dam se rashk-e-jinaan hamaaraa
Ai aab-rood-e-gangaa wo din hai yaad tujh ko
Utraa tire kinaare jab kaarvaan hamaaraa
Maz.hab nahin sikhaataa aapas men bair rakhnaa
Hindee hain ham vatan hai hindostaan hamaaraa
Yoonaan o misr o ruumaa sab miT ga.e jahaan se
Ab tak magar hai baaqee naam-o-nishaan hamaaraa
Kuchh baat hai ki hastee miTtee nahin hamaaree
Sadiyon raha hai dushman daur-e-zamaan hamaaraa
'iqbaal' koi mahram apna nahin jahaan men
Maaloom kya kisee ko dard-e-nihaan hamaaraa
Sare jahan se achchha hindostan hamara
Hum bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara
Ghurbat mein hon agar hum rehta hai dil watan mein
Samjho wahin hamein bhi dil ho jahan hamara
Parbat wo sab se uncha ham-saya aasman ka
Wo santari hamara wo pasban hamara
Godi mein khelti hain is ki hazaron nadiyan
Gulshan hai jin ke dam se rashk-e-jinan hamara
Ai aab-rud-e-ganga wo din hai yaad tujh ko
Utra tere kinare jab karwan hamara
Mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna
Hindi hain hum watan hai hindostan hamara
Yunan o misr o ruma sab miT gae jahan se
Ab tak magar hai baqi nam-o-nishan hamara
Kuchh baat hai ki hasti miTti nahin hamari
Sadiyon raha hai dushman daur-e-zaman hamara
'iqbaal' koi mahram apna nahin jahan mein
Malum kya kisi ko dard-e-nihan hamara