taraana e millii chiin o arab hamaaraa hindostaan hamaaraa
— Allama Iqbal
Cheen-o-arab hamaaraa hindostaan hamaaraa
Muslim hain ham vatan hai sara jahaan hamaaraa
Tauheed kee amaanat seenon men hai hamaare
Aasaan nahin miTaanaa naam-o-nishaan hamaaraa
Duniyaa ke but-kadon men pahlaa wo ghar khuda kaa
Ham is ke paasbaan hain wo paasbaan hamaaraa
Teghon ke saa.e men ham pal kar javaan hue hain
Khanjar hilaal kaa hai qaumee nishaan hamaaraa
Maghrib kee vaadiyon men goonjee azaan hamaaree
Thamtaa na tha kisee se sail-e-ravaan hamaaraa
Baatil se dabne vaale ai aasmaan nahin ham
Sau baar kar chukaa hai too imtihaan hamaaraa
Ai gulistaan-e-undulus wo din hain yaad tujh ko
Thaa teree Daaliyon men jab aashiyaan hamaaraa
Ai mauj-e-dajla too bhee pahchaantee hai ham ko
Ab tak hai teraa Dariya afsaana-khvaan hamaaraa
Ai arz-e-paak teree hurmat pe kaT mare ham
Hai Khoon tiree ragon men ab tak ravaan hamaaraa
Saalaar-e-kaarvaan hai meer-e-hijaaz apna
Is naam se hai baaqee aaraam-e-jaan hamaaraa
'iqbaal' kaa taraana baang-e-daraa hai goyaa
Hotaa hai jaada-paimaa phir kaarvaan hamaaraa
Chin-o-arab hamara hindostan hamara
Muslim hain hum watan hai sara jahan hamara
Tauhid ki amanat sinon mein hai hamare
Aasan nahin miTana nam-o-nishan hamara
Duniya ke but-kadon mein pahla wo ghar KHuda ka
Hum is ke pasban hain wo pasban hamara
Teghon ke sae mein hum pal kar jawan hue hain
KHanjar hilal ka hai qaumi nishan hamara
Maghrib ki wadiyon mein gunji azan hamari
Thamta na tha kisi se sail-e-rawan hamara
Baatil se dabne wale ai aasman nahin hum
Sau bar kar chuka hai tu imtihan hamara
Ai gulistan-e-undulus wo din hain yaad tujh ko
Tha teri Daliyon mein jab aashiyan hamara
Ai mauj-e-dajla tu bhi pahchanti hai hum ko
Ab tak hai tera dariya afsana-KHwan hamara
Ai arz-e-pak teri hurmat pe kaT mare hum
Hai KHun teri ragon mein ab tak rawan hamara
Salar-e-karwan hai mir-e-hijaz apna
Is nam se hai baqi aaram-e-jaan hamara
'iqbaal' ka tarana bang-e-dara hai goya
Hota hai jada-paima phir karwan hamara