tujhe yaad kya nahin hai mire dil kaa wo zamaana

Allama Iqbal

Tujhe yaad kya naheen hai mire dil kaa wo zamaana Wo adab-gah-e-mohabbat wo nigah kaa taaziyaana Ye butaan-e-asr-e-haazir ki bane hain madrase men Na adaa-e-kaafiraana na taraash-e-aazraana Naheen is khulee fazaa men koee gosha-e-faraaghat Ye jahaan 'ajab jahaan hai na qafas na aashiyaana Rag-e-taak muntazir hai tiree baarish-e-karam kee Ki 'ajam ke mai-kadon men na rahi mai-e-mughaana Mire ham-safeer ise bhee asar-e-bahaar samjhe Unhen kya khabar ki kya hai ye navaa-e-aashiqaana Mire khaak o Khoon se too ne ye jahaan kiyaa hai paidaa Sila-e-shahid kya hai tab-o-taab-e-jaavedaana Tiree banda-parvaree se mire din guzar rahe hain Na gila hai doston kaa na shikaayat-e-zamaana