tuluu e islaam daliil e subh e raushan hai sitaaron ki tunuk taabii
— Allama Iqbal
Daleel-e-sub.h-e-raushan hai sitaaron kee tunuk-taabee
Ufuq se aaftaab ubhraa gaya daur-e-giraan-khvaabee
Urooq-murda-e-mashriq men khoon-e-zindagee dauDaa
Samajh sakte nahin is raaz ko siinaa o faaraabee
Musalmaan ko musalmaan kar diyaa toofaan-e-maghrib ne
Talaatum-haa-e-Dariya hee se hai gauhar kee sairaabee
Ataa momin ko phir dargaah-e-haq se hone vaalaa hai
Shikoh-e-turkamaanee zehn hindee nutq aaraabee
Asar kuch khvaab kaa ghunchon men baaqee hai too ai bulbul
Navaa-raa talkh-tarmee zan choo zauq-e-naghma kam-yaabee
TaDap sehn-e-chaman men aashiyaan men shaakh-saaron men
Judaa paare se ho saktee nahin taqdeer-e-seemaabee
Vo chashm-e-paak hain kyuun zeenat-e-bar-gustavaan dekhe
Nazar aatee hai jis ko mard-e-ghaazee kee jigar-taabee
Zameer-e-laala men raushan charaagh-e-aarzoo kar de
Chaman ke zarre zarre ko shaheed-e-justujoo kar de
Sarishk-e-chashm-e-muslim men hai naisaan kaa asar paidaa
Khaleelullaah ke Dariya men honge phir guhar paidaa
Kitaab-e-millat-e-baizaa kee phir sheeraaza-bandee hai
Ye shaakh-e-haashmee karne ko hai phir barg-o-bar paidaa
Rabood aan turk sheeraazee dil-e-tabrez-o-kaabul raa
Sabaa kartee hai boo-e-gul se apna ham-safar paidaa
Agar usmaaniyon par koh-e-gham TuuTaa to kya gham hai
Ki khoon-e-sad-hazaar-anjum se hotee hai sahar paidaa
Jahaanbaanee se hai dushvaar-tar kaar-e-jahaan-beenee
Jigar Khoon ho to chashm-e-dil men hotee hai nazar paidaa
Hazaaron saal nargis apnee be-nooree pe rotee hai
BaDee mushkil se hota hai chaman men deeda-var paidaa
Navaa-pairaa ho ai bulbul ki ho tere tarannum se
Kabootar ke tan-e-naazuk men shaaheen kaa jigar paidaa
Tire siine men hai posheeda raaz-e-zindagee kah de
Musalmaan se hadees-e-soz-o-saaz-e-zindagee kah de
Khudaa-e-lam-yazal kaa dast-e-qudrat too zabaan too hai
Yaqeen paidaa kar ai ghaafil ki maghloob-e-gumaan too hai
Pare hai charkh-e-neelee-faam se manzil musalmaan kee
Sitaare jis kee gard-e-raah hon wo kaarvaan to hai
Makaan faanee makeen faanee azal teraa abad teraa
Khudaa kaa aakhiree paighaam hai too jaavedaan too hai
Hinaa-band-e-uroos-e-laala hai khoon-e-jigar teraa
Tiree nisbat baraaheemee hai memaar-e-jahaan too hai
Tiree fitrat amiin hai mumkinaat-e-zindagaanee kee
Jahaan ke jauhar-e-muzmar kaa goyaa imtihaan to hai
Jahaan-e-aab-o-gil se aalam-e-jaaved kee khaatir
Nubuvvat saath jis ko le ga.ee wo armughaan too hai
Ye nukta sarguzisht-e-millat-e-baizaa se hai paidaa
Ki aqvaam-e-zameen-e-asia kaa paasbaan too hai
Sabaq phir paDh sadaaqat kaa adaalat kaa shujaa.at kaa
Liyaa jaa.egaa tujh se kaam dunya kee imaamat kaa
Yahee maqsood-e-fitrat hai yahee ramz-e-musalmaanee
Ukhuvvat kee jahaangeeree mohabbat kee faraavaanee
Butaan-e-rang-o-khoon ko tod kar millat men gum ho jaa
Na tooraanee rahe baaqee na eeraanee na afghaanee
Miyaan-e-shaakh-saaraan sohbat-e-murgh-e-chaman kab tak
Tire baazoo men hai parvaaz-e-shaaheen-e-qahastaanee
Gumaan-aabaad hastee men yaqeen mard-e-musalmaan kaa
Bayaabaan kee shab-e-taareek men qindeel-e-rohbaanee
MiTaayaa qaisar o kisraa ke istibdaad ko jis ne
Vo kya tha zor-e-haidar faqr-e-boo-zar sidq-e-salmaanee
Hue ahraar-e-millat jaada-paimaa kis tajammul se
Tamaashaa.ee shigaaf-e-dar se hain sadiyon ke zindaanee
Sabaat-e-zindagee eemaan-e-mohkam se hai dunya men
Ki almaanee se bhee paa.enda-tar niklaa hai tooraanee
Jab is angaara-e-khaakee men hota hai yaqeen paidaa
To kar letaa hai ye baal-o-par-e-rooh-ul-ameen paidaa
Ghulaamee men na kaam aatee hain shamsheeren na tadbeeren
Jo ho zauq-e-yaqeen paidaa to kaT jaatee hain zanjeeren
Koee andaaza kar saktaa hai us ke zor-e-baazoo kaa
Nigaah-e-mard-e-momin se badal jaatee hain taqdeeren
Vilaayat paadshaahee ilm-e-ashiyaa kee jahaangeeree
Ye sab kya hain faqat ik nukta-e-eemaan kee tafseeren
Baraaheemee nazar paidaa magar mushkil se hotee hai
Havas chhup chhup ke seenon men banaa letee hai tasveeren
Tameez-e-bandaa-o-aaqaa fasaad-e-aadmiyat hai
Hazar ai cheera-dastaan sakht hain fitrat kee ta.azeeren
Haqeeqat ek hai har shai kee khaakee ho ki nuuree ho
Lahoo khursheed kaa Tapke agar zarre kaa dil cheeren
Yaqeen mohkam amal paiham mohabbat faatah-e-aalam
Jihaad-e-zindagaanee men hain ye mardon kee shamsheeren
Che baayad mard raa tab-e-buland mashrab-e-naabe
Dil-e-garme nigaah-e-paak-beene jaan-e-betaabe
Uqaabee shaan se jhapTe the jo be-baal-o-par nikle
Sitaare shaam ke khoon-e-shafaq men Doob kar nikle
Hue madfoon-e-Dariya zer-e-Dariya tairne vaale
Tamaanche mauj ke khaate the jo ban kar guhar nikle
Ghubaar-e-rahguzar hain keemiyaa par naaz tha jin ko
Jabeenen khaak par rakhte the jo ikseer-gar nikle
Hamaaraa narm-rau qaasid payaam-e-zindagee laayaa
Khabar detee thiin jin ko bijliyaan wo be-khabar nikle
Haram rusvaa huaa peer-e-haram kee kam-nigaahee se
Javaanaan-e-tataaree kis qadar saahab-nazar nikle
Zameen se nooryaan-e-aasmaan-parvaaz kahte the
Ye khaakee zinda-tar paa.enda-tar taabinda-tar nikle
Jahaan men ahl-e-eemaan soorat-e-khursheed jiite hain
Idhar Duube udhar nikle udhar Duube idhar nikle
Yaqeen afraad kaa sarmaaya-e-taameer-e-millat hai
Yahee quvvat hai jo soorat-gar-e-taqdeer-e-millat hai
Too raaz-e-kun-fakaan hai apnee aankhon par ayaan ho jaa
Khudee kaa raaz-daan ho jaa khuda kaa tarjumaan ho jaa
Havas ne kar diyaa hai TukDe TukDe nau-e-insaan ko
Ukhuvvat kaa bayaan ho jaa mohabbat kee zabaan ho jaa
Ye hindee wo khuraasaanee ye afghaanee wo tooraanee
Too ai sharminda-e-saahil uchhal kar be-karaan ho jaa
Ghubaar-aalooda-e-rang-o-nasab hain baal-o-par tere
Too ai murgh-e-haram uDne se pahle par-fishaan ho jaa
Khudee men Doob jaa ghaafil ye sirr-e-zindagaanee hai
Nikal kar halqa-e-shaam-o-sahar se jaavedaan ho jaa
Masaaf-e-zindagee men seerat-e-faulaad paidaa kar
Shabistaan-e-mohabbat men hareer o parniyaan ho jaa
Guzar jaa ban ke sail-e-tund-rau koh o bayaabaan se
Gulistaan raah men aa.e to joo-e-naghma-khvaan ho jaa
Tire ilm o mohabbat kee nahin hai intihaa koi
Naheen hai tujh se baDh kar saaz-e-fitrat men navaa koi
Abhee tak aadmee said-e-zaboon-e-shahryaaree hai
Qayaamat hai ki insaan nau-e-insaan kaa shikaaree hai
Nazar ko kheera kartee hai chamak tahzeeb-e-haazir kee
Ye sannaa.ee magar jhooTe nigoon kee reza-kaaree hai
Vo hikmat naaz tha jis par khirad-mandaan-e-maghrib ko
Havas ke panja-e-khooneen men tegh-e-kaar-zaaree hai
Tadabbur kee fusoon-kaaree se mohkam ho nahin saktaa
Jahaan men jis tamaddun kee binaa sarmaaya-daaree hai
Amal se zindagee bantee hai jannat bhee jahannam bhee
Ye khaakee apnee fitrat men na nuuree hai na naaree hai
Kharosh-aamoz bulbul ho girah ghunche kee vaa kar de
Ki too is gulsitaan ke vaaste baad-e-bahaaree hai
Phir uTThee asia ke dil se chingaaree mohabbat kee
Zameen jaulaan-gah-e-atlas qabaayaan-e-tataaree hai
Bayaa paidaa khareedaa raast jaan-e-naa-tavaan-e-raa
Pas az muddat guzaar uftaad barmaa kaarvaane raa
Bayaa saaqee navaa-e-murgh-zaar az shaakh-saar aamad
Bahaar aamad nigaar aamad nigaar aamad qaraar aamad
Kasheed abr-e-bahaaree khema andar vaadee o sahraa
Sadaa-e-aabshaaraan az faraaz-e-koh-saar aamad
Sarat gardam toham qaanoon pesheen saaz dah saaqee
Ki khail-e-naghma-pardaazaan qataar andar qataar aamad
Kanaar az zaahidaan bar-geer o bebaakaana saaghar-kash
Pas az muddat aziin shaakh-e-kuhan baang-e-hazaar aamad
Ba-mushtaaqaan hadees-e-khvaajaa-e-badro hunain aavar
Tasarruf-haa-e-pinhaanash ba-chashm-e-aashkaar aamad
Digar shaakh-e-khaleel az khoon-e-maa namnaak mee gardad
Ba-baazaar-e-mohabbat naqd-e-maa kaamil ayyaar aamad
Sar-e-khaak-e-shaheere barg-haa-e-laala mee paasham
Ki khoonash baa-nihaal-e-millat-e-maa saazgaar aamad
Bayaa taa-gul baa-afmaishaaneem o mai dar saaghar andaazem
Falak raa saqf ba-shagaafem o tarh-e-deegar andaazem
Dalil-e-subh-e-raushan hai sitaron ki tunuk-tabi
Ufuq se aaftab ubhra gaya daur-e-giran-KHwabi
Uruq-murda-e-mashriq mein KHun-e-zindagi dauDa
Samajh sakte nahin is raaz ko sina o farabi
Musalman ko musalman kar diya tufan-e-maghrib ne
Talatum-ha-e-dariya hi se hai gauhar ki sairabi
Ata momin ko phir dargah-e-haq se hone wala hai
Shikoh-e-turkamani zehn hindi nutq aarabi
Asar kuch KHwab ka ghunchon mein baqi hai tu ai bulbul
Nawa-ra talKH-tarmi zan chu zauq-e-naghma kam-yabi
TaDap sehn-e-chaman mein aashiyan mein shaKH-saron mein
Juda pare se ho sakti nahin taqdir-e-simabi
Wo chashm-e-pak hain kyun zinat-e-bar-gustawan dekhe
Nazar aati hai jis ko mard-e-ghazi ki jigar-tabi
Zamir-e-lala mein raushan charagh-e-arzu kar de
Chaman ke zarre zarre ko shahid-e-justuju kar de
Sarishk-e-chashm-e-muslim mein hai naisan ka asar paida
KHalilullah ke dariya mein honge phir guhar paida
Kitab-e-millat-e-baiza ki phir shiraaza-bandi hai
Ye shaKH-e-hashmi karne ko hai phir barg-o-bar paida
Rabud aan turk shiraazi dil-e-tabrez-o-kabul ra
Saba karti hai bu-e-gul se apna ham-safar paida
Agar usmaniyon par koh-e-gham TuTa to kya gham hai
Ki KHun-e-sad-hazar-anjum se hoti hai sahar paida
Jahanbani se hai dushwar-tar kar-e-jahan-bini
Jigar KHun ho to chashm-e-dil mein hoti hai nazar paida
Hazaron sal nargis apni be-nuri pe roti hai
BaDi mushkil se hota hai chaman mein dida-war paida
Nawa-paira ho ai bulbul ki ho tere tarannum se
Kabutar ke tan-e-nazuk mein shahin ka jigar paida
Tere sine mein hai poshida raaz-e-zindagi kah de
Musalman se hadis-e-soz-o-saz-e-zindagi kah de
KHuda-e-lam-yazal ka dast-e-qudrat tu zaban tu hai
Yaqin paida kar ai ghafil ki maghlub-e-guman tu hai
Pare hai charKH-e-nili-fam se manzil musalman ki
Sitare jis ki gard-e-rah hon wo karwan to hai
Makan fani makin fani azal tera abad tera
KHuda ka aaKHiri paigham hai tu jawedan tu hai
Hina-band-e-urus-e-lala hai KHun-e-jigar tera
Teri nisbat barahimi hai memar-e-jahan tu hai
Teri fitrat amin hai mumkinat-e-zindagani ki
Jahan ke jauhar-e-muzmar ka goya imtihan to hai
Jahan-e-ab-o-gil se aalam-e-jawed ki KHatir
Nubuwwat sath jis ko le gai wo armughan tu hai
Ye nukta sarguzisht-e-millat-e-baiza se hai paida
Ki aqwam-e-zamin-e-asia ka pasban tu hai
Sabaq phir paDh sadaqat ka adalat ka shujaat ka
Liya jaega tujh se kaam duniya ki imamat ka
Yahi maqsud-e-fitrat hai yahi ramz-e-musalmani
UKHuwwat ki jahangiri mohabbat ki farawani
Butan-e-rang-o-KHun ko tod kar millat mein gum ho ja
Na turani rahe baqi na irani na afghani
Miyan-e-shaKH-saran sohbat-e-murgh-e-chaman kab tak
Tere bazu mein hai parwaz-e-shahin-e-qahastani
Guman-abaad hasti mein yaqin mard-e-musalman ka
Bayaban ki shab-e-tarik mein qindil-e-rohbani
MiTaya qaisar o kisra ke istibdad ko jis ne
Wo kya tha zor-e-haidar faqr-e-bu-zar sidq-e-salmani
Hue ahrar-e-millat jada-paima kis tajammul se
Tamashai shigaf-e-dar se hain sadiyon ke zindani
Sabaat-e-zindagi iman-e-mohkam se hai duniya mein
Ki almani se bhi paenda-tar nikla hai turani
Jab is angara-e-KHaki mein hota hai yaqin paida
To kar leta hai ye baal-o-par-e-ruh-ul-amin paida
Ghulami mein na kaam aati hain shamshiren na tadbiren
Jo ho zauq-e-yaqin paida to kaT jati hain zanjiren
Koi andaza kar sakta hai us ke zor-e-bazu ka
Nigah-e-mard-e-momin se badal jati hain taqdiren
Wilayat padshahi ilm-e-ashiya ki jahangiri
Ye sab kya hain faqat ek nukta-e-iman ki tafsiren
Barahimi nazar paida magar mushkil se hoti hai
Hawas chhup chhup ke sinon mein bana leti hai taswiren
Tamiz-e-banda-o-aqa fasad-e-admiyat hai
Hazar ai chira-dastan saKHt hain fitrat ki taziren
Haqiqat ek hai har shai ki KHaki ho ki nuri ho
Lahu KHurshid ka Tapke agar zarre ka dil chiren
Yaqin mohkam amal paiham mohabbat fatah-e-alam
Jihad-e-zindagani mein hain ye mardon ki shamshiren
Che bayad mard ra tab-e-buland mashrab-e-nabe
Dil-e-garme nigah-e-pak-bine jaan-e-betabe
Uqabi shan se jhapTe the jo be-baal-o-par nikle
Sitare sham ke KHun-e-shafaq mein Dub kar nikle
Hue madfun-e-dariya zer-e-dariya tairne wale
Tamanche mauj ke khate the jo ban kar guhar nikle
Ghubar-e-rahguzar hain kimiya par naz tha jin ko
Jabinen KHak par rakhte the jo iksir-gar nikle
Hamara narm-rau qasid payam-e-zindagi laya
KHabar deti thin jin ko bijliyan wo be-KHabar nikle
Haram ruswa hua pir-e-haram ki kam-nigahi se
Jawanan-e-tatari kis qadar sahab-nazar nikle
Zamin se nuryan-e-asman-parwaz kahte the
Ye KHaki zinda-tar paenda-tar tabinda-tar nikle
Jahan mein ahl-e-iman surat-e-KHurshid jite hain
Idhar Dube udhar nikle udhar Dube idhar nikle
Yaqin afrad ka sarmaya-e-tamir-e-millat hai
Yahi quwwat hai jo surat-gar-e-taqdir-e-millat hai
Tu raaz-e-kun-fakan hai apni aankhon par ayan ho ja
KHudi ka raaz-dan ho ja KHuda ka tarjuman ho ja
Hawas ne kar diya hai TukDe TukDe nau-e-insan ko
UKHuwwat ka bayan ho ja mohabbat ki zaban ho ja
Ye hindi wo KHurasani ye afghani wo turani
Tu ai sharminda-e-sahil uchhal kar be-karan ho ja
Ghubar-aluda-e-rang-o-nasab hain baal-o-par tere
Tu ai murgh-e-haram uDne se pahle par-fishan ho ja
KHudi mein Dub ja ghafil ye sirr-e-zindagani hai
Nikal kar halqa-e-sham-o-sahar se jawedan ho ja
Masaf-e-zindagi mein sirat-e-faulad paida kar
Shabistan-e-mohabbat mein harir o parniyan ho ja
Guzar ja ban ke sail-e-tund-rau koh o bayaban se
Gulistan rah mein aae to ju-e-naghma-KHwan ho ja
Tere ilm o mohabbat ki nahin hai intiha koi
Nahin hai tujh se baDh kar saz-e-fitrat mein nawa koi
Abhi tak aadmi said-e-zabun-e-shahryari hai
Qayamat hai ki insan nau-e-insan ka shikari hai
Nazar ko KHira karti hai chamak tahzib-e-hazir ki
Ye sannai magar jhuTe nigun ki reza-kari hai
Wo hikmat naz tha jis par KHirad-mandan-e-maghrib ko
Hawas ke panja-e-KHunin mein tegh-e-kar-zari hai
Tadabbur ki fusun-kari se mohkam ho nahin sakta
Jahan mein jis tamaddun ki bina sarmaya-dari hai
Amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannam bhi
Ye KHaki apni fitrat mein na nuri hai na nari hai
KHarosh-amoz bulbul ho girah ghunche ki wa kar de
Ki tu is gulsitan ke waste baad-e-bahaari hai
Phir uTThi asia ke dil se chingari mohabbat ki
Zamin jaulan-gah-e-atlas qabayan-e-tatari hai
Baya paida KHarida rast jaan-e-na-tawan-e-ra
Pas az muddat guzar uftad barma karwane ra
Baya saqi nawa-e-murgh-zar az shaKH-sar aamad
Bahaar aamad nigar aamad nigar aamad qarar aamad
Kashid abr-e-bahaari KHema andar wadi o sahra
Sada-e-abshaaran az faraaz-e-koh-sar aamad
Sarat gardam toham qanun peshin saz dah saqi
Ki KHail-e-naghma-pardazan qatar andar qatar aamad
Kanar az zahidan bar-gir o bebakana saghar-kash
Pas az muddat azin shaKH-e-kuhan bang-e-hazar aamad
Ba-mushtaqan hadis-e-KHwaja-e-badro hunain aawar
Tasarruf-ha-e-pinhanash ba-chashm-e-ashkar aamad
Digar shaKH-e-KHalil az KHun-e-ma namnak mi gardad
Ba-bazar-e-mohabbat naqd-e-ma kaamil ayyar aamad
Sar-e-KHak-e-shahire barg-ha-e-lala mi pasham
Ki KHunash ba-nihaal-e-millat-e-ma sazgar aamad
Baya ta-gul ba-afmaishanim o mai dar saghar andazem
Falak ra saqf ba-shagafem o tarh-e-digar andazem