vahii meri kam nasiibii vahii terii be niyaazii
— Allama Iqbal
Vahee meree kam-naseebee vahee teree be-niyaazee
Mire kaam Kuch na aayaa ye kamaal-e-nai-navaazee
Main kahaan hoon too kahaan hai ye makaan ki laa-makaan hai
Ye jahaan miraa jahaan hai ki tiree karishma-saazee
Isee kashmakash men guzreen miree zindagee kee raaten
Kabhee soz-o-saaz-e-'roomee' kabhee pech-o-taab-e-'raazee'
Wo fareb-khurda shaaheen ki palaa ho kargason men
Use kya khabar ki kya hai rah-o-rasm-e-shaahbaazee
Na zabaan koee ghazal kee na zabaan se baa-khabar main
Koee dil-kushaa sadaa ho ajamee ho yaa ki taazee
Naheen faqr o saltanat men koee imtiyaaz aisa
Ye sipah kee tegh-baazee wo nigah kee tegh-baazee
Koee kaarvaan se TuuTaa koee bad-gumaan haram se
Ki ameer-e-kaarvaan men naheen khoo-e-dil-navaazee