wo harf e raaz ki mujh ko sikhaa gaya hai junoon
— Allama Iqbal
Wo harf-e-raaz ki mujh ko sikhaa gaya hai junoon
Khuda mujhe nafas-e-jabra.eel de to kahoon
Sitaara kya miree taqdeer kee khabar degaa
Wo khud faraakhi-e-aflaak men hai khvaar o zuboon
Hayaat kya hai khayaal o nazar kee majzoobee
Khudee kee maut hai andesha-haa-e-goonaa-goon
Ajab maza hai mujhe lazzat-e-khudee de kar
Wo chaahte hain ki main apne aap men na rahoon
Zameer-e-paak o nigaah-e-buland o masti-e-shauq
Na maal-o-daulat-e-qaaroon na fikr-e-aflaatoon
Sabaq milaa hai ye meraaj-e-mustafaa se mujhe
Ki aalam-e-bashareeyat kee zad men hai gardoon
Ye kaa.enaat abhee naa-tamaam hai shaayad
Ki aa rahi hai damaadam sadaa-e-kun-fayakoon
Ilaaj aatish-e-'roomee' ke soz men hai tiraa
Tiree khirad pe hai ghaalib firangiyon kaa fusoon
Usee ke faiz se meree nigaah hai raushan
Usee ke faiz se mere suboo men hai jehoon