ye payaam de gaii hai mujhe baad e subh gaahii

Allama Iqbal

Ye payaam de ga.ee hai mujhe baad-e-sub.h-gaahee Ki khudee ke aarifon kaa hai maqaam paadshaahee Tiree zindagee isee se tiree aabroo isee se Jo rahi khudee to shaahee na rahi to roo-siyaahi Na diyaa nishaan-e-manzil mujhe ai hakeem too ne Mujhe kya gila ho tujh se too na rah-nasheen na raahee Mire halqa-e-sukhan men abhee zer-e-tarbiyat hain Wo gadaa ki jaante hain rah-o-rasm-e-kaj-kulaahee Ye muaamle hain naazuk jo tiree razaa ho too kar Ki mujhe to khush na aayaa ye tareeq-e-khaanqaahee Too humaa kaa hai shikaaree abhee ibtidaa hai teree Nahin maslahat se khaalee ye jahaan-e-murgh-o-maahee Too arab ho yaa ajam ho tiraa laa ilaah illaa Lughat-e-ghareeb jab tak tiraa dil na de gavaahee