zamaana aayaa hai be hijaabii kaa aam diidaar e yaar hogaa
— Allama Iqbal
Zamaana aayaa hai be-hijaabee kaa aam deedaar-e-yaar hogaa
Sukoot tha parda-daar jis kaa wo raaz ab aashkaar hogaa
Guzar gaya ab wo daur saaqee ki chhup ke piite the piine vaale
Banegaa sara jahaan mai-khaana har koi baada-khvaar hogaa
Kabhi jo aavaara-e-junoon the wo bastiyon men phir aa basenge
Barahna-paa.ee vahee rahegee magar nayaa khaar-zaar hogaa
Sunaa diyaa gosh-e-muntazir ko hijaaz kee khaamushee ne aakhir
Jo ahd sahraa.iyon se baandhaa gaya tha phir ustuvaar hogaa
Nikal ke sahraa se jis ne ruumaa kee saltanat ko ulaT diyaa tha
Sunaa hai ye qudsiyon se main ne wo sher phir hoshiyaar hogaa
Kiyaa miraa tazkira jo saaqee ne baada-khvaaron kee anjuman men
To peer-e-mai-khaana sun ke kahne lagaa ki munh phaT hai khaar hogaa
Dayaar-e-maghrib ke rehne vaalo khuda kee bastee dukaan nahin hai
Kharaa jise tum samajh rahe ho wo ab zar-e-kam-ayaar hogaa
Tumhaaree tahzeeb apne khanjar se aap hee khud-kushee karegee
Jo shaakh-e-naazuk pe aashiyaana banegaa naa-paa.edaar hogaa
Safeena-e-barg-e-gul banaa legaa qaafila mor-e-naa-tavaan kaa
Hazaar maujon kee ho kashaakash magar ye Dariya se paar hogaa
Chaman men laala dikhaataa phirtaa hai daagh apna kalee kalee ko
Ye jaantaa hai ki is dikhaave se dil-jalon men shumaar hogaa
Jo ek tha ai nigaah too ne hazaar kar ke hamen dikhaayaa
Yahee agar kaifiyat hai teree to phir kise aitbaar hogaa
Kahaa jo qamree se main ne ik din yahaan ke aazaad paa-ba-gil hain
To ghunche kahne lage hamaare chaman kaa ye raazdaar hogaa
Khuda ke aashiq to hain hazaaron banon men phirte hain maare maare
Main us kaa banda banoongaa jis ko khuda ke bandon se pyaar hogaa
Ye rasm-e-barham fanaa hai ai dil gunaah hai jumbish-e-nazar bhee
Rahegee kya aabroo hamaaree jo too yahaan be-qaraar hogaa
Main zulmat-e-shab men le ke nikloongaa apne darmaanda kaarvaan ko
Shah nishaan hogee aah meree nafas miraa sho.ala baar hogaa
Nahin hai ghair-az numood kuch bhee jo mudda.aa teree zindagee kaa
Too ik nafas men jahaan se miTnaa tujhe misaal-e-sharaar hogaa
Na poochh 'iqbaal' kaa Thikaana abhee vahee kaifiyat hai us kee
Kaheen sar-e-rahguzaar baiThaa sitam-kash-e-intizaar hogaa