zamistaanii havaa men garche thii shamshiir ki tezii

Allama Iqbal

Zamistaanee havaa men garche thee shamsheer kee tezee Na chhooTe mujh se london men bhee aadaab-e-sahar-khezee Kaheen sarmaaya-e-mahfil thee meree garm-guftaaree Kaheen sab ko pareshaan kar ga.ee meree kam-aamezee Zamaam-e-kaar agar mazdoor ke haathon men ho phir kya Tareeq-e-koh-kan men bhee vahee hiile hain parvezee Jalaal-e-paadshaahee ho ki jamhooree tamaashaa ho Judaa ho diin siyaasat se to rah jaatee hai changezee Savaad-e-raumat-ul-kubraa men dillee yaad aatee hai Vahee ibrat vahee azmat vahee shaan-e-dil-aavezee