dil ko dard aashnaa kiyaa tuu ne
— Altaf Hussain Hali
Dil ko dard-aashnaa kiyaa too ne
Dard-e-dil ko davaa kiyaa too ne
Tab-e-insaan ko dee sirisht-e-wafa
Khaak ko keemiyaa kiyaa too ne
Vasl-e-jaanaan muhaal Thahraayaa
Qatl-e-aashiq ravaa kiyaa too ne
Thaa na juz gham bisaat-e-aashiq men
Gham ko raahat-fazaa kiyaa too ne
Jaan thee ik vabaal furqat men
Shauq ko jaan-guzaa kiyaa too ne
Thee mohabbat men nang minnat-e-ghair
Jazb-e-dil ko rasaa kiyaa too ne
Raah zaahid ko jab kaheen na milee
Dar-e-mai-khaana vaa kiyaa too ne
Qat.a hone hee jab lagaa paivand
Ghair ko aashnaa kiyaa too ne
Thee jahaan kaarvaan ko denee raah
Ishq ko rahnumaa kiyaa too ne
Naav bhar kar jahaan Dubonee thee
Aql ko naakhudaa kiyaa too ne
BaDh ga.ee jab pidar ko mehr-e-pisar
Us ko us se judaa kiyaa too ne
Jab huaa mulk o maal rahzan-e-hosh
Baadshah ko gadaa kiyaa too ne
Jab milee kaam-e-jaan ko lazzat-e-dard
Dard ko be-davaa kiyaa too ne
Jab diyaa raah-rau ko zauq-e-talab
Sa.ee ko naa-rasaa kiyaa too ne
Parda-e-chashm the hijaab bahut
Husn ko khud-numaa kiyaa too ne
Ishq ko taab-e-intizaar na thee
Ghurfa ik dil men vaa kiyaa too ne
Haram aabaad aur dair kharaab
Jo kiyaa sab bajaa kiyaa too ne
Sakht afsurda tab.a thee ahbaab
Ham ko jaadoo navaa kiyaa too ne
Phir jo dekhaa to kuchh na thaa yaa rab
Kaun poochhe ki kya kiyaa too ne
'haalee' uTThaa hilaa ke mahfil ko
Aakhir apnaa kahaa kiyaa too ne