dil se khayaal e dost bhulaayaa na jaaegaa
— Altaf Hussain Hali
Dil se khayaal-e-dost bhulaayaa na jaa.egaa
Siine men daagh hai ki miTaayaa na jaa.egaa
Tum ko hazaar sharm sahee mujh ko laakh zabt
Ulfat wo raaz hai ki chhupaayaa na jaa.egaa
Ai dil razaa-e-ghair hai shart-e-razaa-e-dost
Zinhaar baar-e-ishq uThaayaa na jaa.egaa
Dekhee hain aisee un kee bahut mehrbaaniyaan
Ab ham se munh men maut ke jaayaa na jaa.egaa
Mai tund o zarf-e-hausla-e-ahl-e-bazm tang
Saaqee se jaam bhar ke pilaayaa na jaa.egaa
Raazee hain ham ki dost se ho dushmanee magar
Dushman ko ham se dost banaayaa na jaa.egaa
Kyuun chheDte ho zikr na milne kaa raat ke
Poochhenge ham sabab to bataayaa na jaa.egaa
BigDen na baat baat pe kyuun jaante hain wo
Ham wo nahin ki ham ko manaayaa na jaa.egaa
Milnaa hai aap se to nahin hasr ghair par
Kis kis se ikhtilaat baDhaayaa na jaa.egaa
Maqsood apnaa kuchh na khulaa lekin is qadar
Ya.anee wo DhoonDte hain jo paayaa na jaa.egaa
JhagDon men ahl-e-deen ke na 'haalee' paDen bas aap
Qissa huzoor se ye chukaayaa na jaa.egaa