go javaanii men thii kaj raaii bahut

Altaf Hussain Hali

Go javaanee men thee kaj-raa.ee bahut Par javaanee ham ko yaad aa.ee bahut Zer-e-burqa.a too ne kya dikhlaa diyaa Jam.a hain har soo tamaashaa.ee bahut HaT pe is kee aur pis jaate hain dil Raas hai kuchh us ko khud-raa.ee bahut Sarv yaa gul aankh men jachte nahin Dil pe hai naqsh us kee raanaa.ee bahut Chuur thaa zakhmon men aur kahtaa thaa dil Raahat is takleef men paa.ee bahut Aa rahee hai chaah-e-yoosuf se sadaa Dost yaan thoDe hain aur bhaa.ee bahut Vasl ke ho ho ke saamaan rah ga.e Menh na barsaa aur ghaTaa chhaa.ee bahut Jaan-nisaaree par wo bol uTThe miree Hain fidaa.ee kam tamaashaa.ee bahut Ham ne har adnaa ko aalaa kar diyaa Khaaksaaree apnee kaam aa.ee bahut Kar diyaa chup vaaqi.aat-e-dahr ne Thee kabhi ham men bhee goyaa.ee bahut GhaT ga.iin khud talkhiyaan ayyaam kee Yaa ga.ee kuchh baDh shakebaa.ee bahut Ham na kahte the ki 'haalee' chup raho Raast-goee men hai rusvaa.ee bahut