hai justujuu ki khuub se hai khuub tar kahaan

Altaf Hussain Hali

Hai justujoo ki khuub se hai khoob-tar kahaan Ab Thahratee hai dekhiye jaa kar nazar kahaan Hain daur-e-jaam-e-avval-e-shab men khudee se duur Hotee hai aaj dekhiye ham ko sahar kahaan Yaa rab is ikhtilaat kaa anjaam ho ba-khair Thaa us ko ham se rabt magar is qadar kahaan Ik umr chaahiye ki gavaaraa ho neesh-e-ishq Rakkhee hai aaj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahaan Bas ho chukaa bayaan kasal-o-ranj-e-raah kaa Khat kaa mire javaab hai ai naama-bar kahaan Kaun o makaan se hai dil-e-vahshee kanaara-geer Is khaanumaan-kharaab ne DhoonDaa hai ghar kahaan Ham jis pe mar rahe hain wo hai baat hee kuchh aur Aalam men tujh se laakh sahee too magar kahaan Hotee nahin qubool duaa tark-e-ishq kee Dil chaahtaa na ho to zabaan men asar kahaan 'haalee' nashaat-e-naghma-o-mai DhoonDhte ho ab Aa.e ho vaqt-e-sub.h rahe raat bhar kahaan