hai ye takiya tirii ataaon par
— Altaf Hussain Hali
Hai ye takiya tiree ataaon par
Vahee israar hai khataaon par
Rahen naa-aashnaa zamaane se
Haq hai teraa ye aashnaaon par
Rahravo baa-khabar raho ki gumaan
Rahzanee kaa hai rahnumaaon par
Hai wo der aashnaa to aib hai kya
Marte hain ham inheen adaaon par
Us ke kooche men hain wo be-par o baal
UDte phirte hain jo havaaon par
Shahsavaaron pe band hai jo raah
Vaqf hai yaan barahna paanv par
Nahin mun.im ko us kee buund naseeb
Menh barastaa hai jo gadaaon par
Nahin mahdood bakhshishen teree
Zaahidon par na paarsaaon par
Haq se darkhvaast afv kee 'haalee'
Kiije kis munh se in khataaon par