hashr tak yaan dil shakebaa chaahiye
— Altaf Hussain Hali
Hashr tak yaan dil shakebaa chaahiye
Kab milen dilbar se dekhaa chaahiye
Hai tajallee bhee naqaab-e-roo-e-yaar
Us ko kin aankhon se dekhaa chaahiye
Ghair-mumkin hai na ho taaseer-e-gham
Haal-e-dil phir us ko likkhaa chaahiye
Hai dil-afgaaron kee dildaaree zaroor
Gar nahin ulfat madaaraa chaahiye
Hai kuchh ik baaqee khalish ummeed kee
Ye bhee miT jaa.e to phir kya chaahiye
Doston kee bhee na ho parvaa jise
Be-niyaazee us kee dekhaa chaahiye
Bhaa ga.e hain aap ke andaaz o naaz
Keejiye ighmaaz jitnaa chaahiye
Shaikh hai in kee nigah jaadoo bharee
Sohbat-e-rindaan se bachnaa chaahiye
Lag ga.ee chup 'haalee'-e-ranjoor ko
Haal is kaa kis se poochhaa chaahiye