jiite jii maut ke tum munh men na jaanaa hargiz
— Altaf Hussain Hali
Jiite jee maut ke tum munh men na jaanaa hargiz
Dosto dil na lagaanaa na lagaanaa hargiz
Ishq bhee taak men baiThaa hai nazar-baazon kee
Dekhnaa sher se aankhen na laDaanaa hargiz
Haath malne na hon piiree men agar hasrat se
To javaanee men na ye rog basaanaa hargiz
Jitne raste the tire ho ga.e veeraan ai ishq
Aa ke veeraanon men ab ghar na basaanaa hargiz
Kuuch sab kar ga.e dillee se tire qadr-shanaas
Qadr yaan rah ke ab apnee na ganvaanaa hargiz
Tazkira dehli-e-marhoom kaa ai dost na chheD
Na sunaa jaa.egaa ham se ye fasaana hargiz
DhoonDtaa hai dil-e-shoreeda bahaane mutrib
Dard-angez ghazal koi na gaanaa hargiz
Sohbaten aglee musavvir hamen yaad aa.engee
Koi dilchasp muraqqaa na dikhaanaa hargiz
Le ke daagh aa.egaa siine pe bahut ai sayyaah
Dekh is shahr ke khanDaron men na jaanaa hargiz
Chappe chappe pe hain yaan gauhar-e-yaktaa tah-e-khaak
Dafn hogaa kaheen itnaa na khazaana hargiz
MiT ga.e tere miTaane ke nishaan bhee ab to
Ai falak is se ziyaada na miTaanaa hargiz
Wo to bhoole the hamen ham bhee unhen bhuul ga.e
Aisa badlaa hai na badlegaa zamaana hargiz
Ham ko gar too ne rulaayaa to rulaayaa ai charkh
Ham pe ghairon ko to zaalim na hansaanaa hargiz
Aakhiree daur men bhee tujh ko qasam hai saaqee
Bhar ke ik jaam na pyaason ko pilaanaa hargiz
Bakht so.e hain bahut jaag ke ai daur-e-zamaan
Na abhee niind ke maaton ko jagaanaa hargiz
Kabhi ai ilm o hunar ghar thaa tumhaaraa dillee
Ham ko bhoole ho to ghar bhuul na jaanaa hargiz
Shaa.iree mar chukee ab zinda na hogee yaaro
Yaad kar kar ke use jee na kuDhaanaa hargiz
'ghaalib' o 'shefta' o 'nayyar' o 'aazurda' o 'zauq'
Ab dikhaa.egaa ye shaklen na zamaanaa hargiz
'momin' o 'alvee' o 'sahbaa.ee' o 'mamnoon' ke baad
Sher kaa naam na legaa koi daanaa hargiz
Kar diyaa mar ke yagaanon ne yagaana ham ko
Varna yaan koi na thaa ham men yagaana hargiz
'daagh' o 'majrooh' ko sun lo ki phir is gulshan men
Na sunegaa koi bulbul kaa taraana hargiz
Raat aakhir huee aur bazm huee zer-o-zabar
Ab na dekhoge kabhi lutf-e-shabaana hargiz
Bazm-e-maatam to nahin bazm-e-sukhan hai 'haalee'
Yaan munaasib nahin ro ro ke rulaanaa hargiz