koii mahram nahiin miltaa jahaan men

Altaf Hussain Hali

Koi mahram nahin miltaa jahaan men Mujhe kahnaa hai kuchh apnee zabaan men Qafas men jee nahin lagtaa kisee tarah Lagaa do aag koi aashiyaan men Koi din bul-havas bhee shaad ho len Dharaa kya hai ishaaraat-e-nihaan men Kaheen anjaam aa pahunchaa wafa kaa Ghulaa jaataa huun ab ke imtihaan men Nayaa hai leejiye jab naam us kaa Bahut vus'at hai meree daastaan men Dil-e-pur-dard se kuchh kaam loongaa Agar fursat milee mujh ko jahaan men Bahut jee khush huaa 'haalee' se mil kar Abhee kuchh log baaqee hain jahaan men