ranj aur ranj bhii tanhaaii kaa
— Altaf Hussain Hali
Ranj aur ranj bhee tanhaa.ee kaa
Vaqt pahunchaa miree rusvaa.ee kaa
Umr shaayad na kare aaj wafa
KaaTnaa hai shab-e-tanhaa.ee kaa
Tum ne kyuun vasl men pahloo badlaa
Kis ko da.avaa hai shakebaa.ee kaa
Ek din raah pe jaa pahunche ham
Shauq thaa baadiya-paimaa.ee kaa
Us se naadaan hee ban kar miliye
Kuchh ijaara nahin daanaa.ee kaa
Saat pardon men nahin Thairtee aankh
Hausla kya hai tamaashaa.ee kaa
Darmiyaan paa-e-nazar hai jab tak
Ham ko da.avaa nahin beenaa.ee kaa
Kuchh to hai qadr tamaashaa.ee kee
Hai jo ye shauq khud-aaraa.ee kaa
Us ko chhoDaa to hai lekin ai dil
Mujh ko Dar hai tiree khud-raa.ee kaa
Bazm-e-dushman men na jee se utraa
Poochhnaa kya tiree zebaa.ee kaa
Yahee anjaam thaa ai fasl-e-khizaan
Gul o bulbul kee shanaasaa.ee kaa
Madad ai jazba-e-taufeeq ki yaan
Ho chukaa kaam tavaanaa.ee kaa
Mohtasib uzr bahut hain lekin
Izn ham ko nahin goyaa.ee kaa
Honge 'haalee' se bahut aavaara
Ghar abhee duur hai rusvaa.ee kaa