vasl kaa us ke dil e zaar tamannaaii hai
— Altaf Hussain Hali
Vasl kaa us ke dil-e-zaar tamannaa.ee hai
Na mulaaqaat hai jis se na shanaasaa.ee hai
Qat.a ummeed ne dil kar diye yaksoo sad shukr
Shakl muddat men ye allaah ne dikhlaa.ee hai
Quvvat-e-dast-e-khudaa.ee hai shakebaa.ee men
Vaqt jab aa ke paDaa hai yahee kaam aa.ee hai
Dar nahin ghair kaa jo kuchh hai so apnaa Dar hai
Ham ne jab khaa.ee hai apne hee se zak khaa.ee hai
Nashe men chuur na hon jhaanjh men makhmoor na hon
Pand ye peer-e-kharaabaat ne farmaa.ee hai
Nazar aatee nahin ab dil men tamannaa koi
Baad muddat ke tamannaa miree bar aa.ee hai
Baat sachchee kahee aur ungliyaan uTTheen sab kee
Sach men 'haalee' koi rusvaa.ee see rusvaa.ee hai