achchhe iisaa ho mariizon kaa khayaal achchhaa hai
— Ameer Minai
Achchhe iisaa ho mareezon kaa khayaal achchhaa hai
Ham mare jaate hain tum kahte ho haal achchhaa hai
Tujh se maangoon main tujhee ko ki sabhee Kuch mil jaa.e
Sau savaalon se yahee ek savaal achchhaa hai
Dekh le bulbul o parvaana kee betaabee ko
Hijr achchhaa na haseenon kaa visaal achchhaa hai
Aa gaya us kaa tasavvur to pukaaraa ye shauq
Dil men jam jaa.e ilaahee ye khayaal achchhaa hai
Aankhen dikhlaate ho joban to dikhaao saahab
Wo alag baandh ke rakkhaa hai jo maal achchhaa hai
Barq agar garmi-e-raftaar men achchhee hai 'ameer'
Garmi-e-husn men wo barq-jamaal achchhaa hai