ai zabt dekh ishq ki un ko khabar na ho

Ameer Minai

Ai zabt dekh 'ishq kee un ko khabar na ho Dil men hazaar dard uThe aankh tar na ho Muddat men shaam-e-vasl huee hai mujhe naseeb Do-chaar saal tak to ilaahee sahar na ho Ik phuul hai gulaab kaa aaj un ke haath men DhaDkaa mujhe ye hai ki kisee kaa jigar na ho DhoonDe se bhee na ma.ani-e-baareek jab milaa Dhokaa huaa ye mujh ko ki us kee kamar na ho Ulfat kee kya umiid wo aisa hai bevafaa Sohbat hazaar saal rahe Kuch asar na ho Tool-e-shab-e-visaal ho misl-e-shab-e-firaaq Nikle na aaftaab ilaahee sahar na ho