baat karne men to jaatii hai mulaaqaat ki raat
— Ameer Minai
Baat karne men to jaatee hai mulaaqaat kee raat
Kya baree baat hai rah jaao yaheen raat kee raat
Zarre afshaan ke naheen kirmak-e-shab-taab se kam
Hai wo zulf-e-araq-aalood ki barsaat kee raat
Zaahid us zulf men phans jaa.e to itnaa poochhoon
Kahiye kis tarah kaTee qibla-e-haajaat kee raat
Shaam se sub.h talak chalte hain jaam-e-mai-e-aish
Khuub hotee hai basar ahl-e-kharaabaat kee raat
Vasl chaahaa shab-e-me.araaj to ye uzr kiyaa
Hai ye allaah o payambar kee mulaaqaat kee raat
Ham musaafir hain ye Dunya hai haqeeqat men saraa
Hai tavaqquf hamen is jaa to faqat raat kee raat
Chal ke ab so raho baaten na banaao saahib
Vasl kee shab hai naheen harf-e-hikaayaat kee raat
Lailatul-qadr hai vaslat kee duaa maang 'ameer'
Is se behtar hai kahaan koee munaajaat kee raat