dil ko tarz e nigah e yaar jataate aae

Ameer Minai

Dil ko tarz-e-nigah-e-yaar jataate aa.e Tiir bhee aa.e to be-par kee uDaate aa.e Baadshahon kaa hai darbaar dar-e-peer-e-mughaan SaikDon jaate ga.e saikDon aate aa.e Chhup ke bhee aa.e mire ghar to wo darbaanon ko Apnee paazeb kee jhankaar sunaate aa.e Roz-e-mahshar jo bulaa.e ga.e deevaana-e-zulf BeDiyaan pahne hue shor machaate aa.e Kya kahenge koee mahshar men jo poochhegaa 'ameer' Kyuun na bigDee huee baaton ko banaate aa.e