hai khamoshii zulm charkh e dev paikar kaa javaab

Ameer Minai

Hai khamoshee zulm-charkh-e-dev-paikar kaa javaab Aadmee hota to ham dete baraabar kaa javaab Jo bagoolaa dasht-e-ghurbat men uThaa samjhaa ye main Kartee hai taa'meer deevaanee mire ghar kaa javaab Saath khanjar ke chalegee waqt-e-zab.h apnee zabaan Jaan dene vaale dete hain baraabar kaa javaab Sajda kartaa hoon jo main Thokar lagaataa hai wo but Paanv us kaa baDh ke deta hai mire sar kaa javaab Abr ke TukDe na uljhen meree mauj-e-ashk se Khushk maghzon se hai mushkil misra-e-tar kaa javaab Wo khinchaa tha main bhee khinch rahtaa to bantee kis tarah Sar jhukaa deta tha qaatil tere khanjar kaa javaab Jeete-jee mumkin nahin us shokh kaa khat dekhnaa Baa'd mere aa.egaa mere muqaddar kaa javaab Shaikh kahtaa hai brahman ko brahman us ko sakht Kaa'ba o but-khaana men patthar hai patthar kaa javaab Roz dikhlaataa hai gardoon kaisee kaisee sooraten But-taraashee men hai ye kaafir bhee aazar kaa javaab Har jagah qabr-e-gadaa takiye men har jaa gor-e-shaah Ek ghar is shahr men hai doosre ghar kaa javaab Jalva-gar hai noor-e-haq hone se yaktaa.ee 'ameer' Saaya bhee hota agar hota payambar kaa javaab