ham jo mast e sharaab hote hain
— Ameer Minai
Ham jo mast-e-sharaab hote hain
Zarre se aaftaab hote hain
Hai kharaabaat sohbat-e-vaa.iz
Log naahaq kharaab hote hain
Kya kahen kaise roz o shab ham se
Amal-e-naa-savaab hote hain
Baadshah hain gadaa, gadaa sultaan
Kuch na.e inqalaab hote hain
Ham jo karte hain mai-kade men duaa
Ahl-e-masjid ko khvaab hote hain
Vahee rah jaate hain zabaanon par
Sher jo intikhaab hote hain
Kahte hain mast rind-e-saudaai
Khuub ham ko khitaab hote hain
Aansuon se 'ameer' hain rusvaa
Aise laDke azaab hote hain