jab se baandhaa hai tasavvur us rukh e pur nuur kaa
— Ameer Minai
Jab se baandhaa hai tasavvur us rukh-e-pur-noor kaa
Saare ghar men nuur phailaa hai charaagh-e-toor kaa
Bakht-e-vaazhoon se jale kyuun dil na mujh mahroor kaa
Marham-e-kaafoor se munh aa gaya naasoor kaa
Is qadar mushtaaq hoon zaahid khuda ke nuur kaa
But bhee banvaayaa kabhi main ne to sang-e-toor kaa
Tujh ko laa.e ghar men jannat ko jalaayaa rashk se
Ham-baghal tujh se hue pahloo dabaayaa huur kaa
Gor-e-kaafir kis liye hai teera-o-taar is qadar
PaD gaya saaya magar meree shab-e-deejoor kaa
Husn-e-yoosuf aur tere husn men itnaa hai farq
ChoT ye nazdeek kee hai vaar thaa wo daur kaa
Qasr-e-tan bigDaa kisee kaa gorkan kee ban paDee
Ghar kisee kaa gir paDaa ghar bin gaya mazdoor kaa
Chehra-e-jaanaan se sharmaa kar chhupaayaa khuld men
Khaama-e-taqdeer ne kheenchaa jo naqsha huur kaa
Haajat-e-mushshaata kya rukhsaar-e-raushan ke liye
Dekh lo gul kaaTtaa hai kaun sham-e-toor kaa
Zulf-o-roo-e-yaar se nairang-e-qudrat hai ayaan
Mahr ke panje men hai daaman shab-e-deejoor kaa
Khaaksaaree kar jo ho manzoor aankhon men jagah
Khaak ho kar surma bin jaataa hai patthar taur kaa
Ghaafilon ke kaan kab khulte hain san kar shor-e-hashr
Sone vaalon ko jagaa saktaa nahin ghul duur kaa
Poochh lenaa sab vatan kaa haal ai ahl-e-adam
Baith lene do zaraa aataa hoon uTThaa daur kaa
Ijz karte hain adoo-e-jaan se bhee khaasaan-e-haq
Jhuk gaya sar aage paa-e-daar par mansoor kaa
Maut kya aa.ee tap-e-furqat se sehat ho ga.ee
Dam nikalne se badan ThanDaa huaa ranjoor kaa
Jaate hain mai-khaana-e-aalam se ham soo-e-adam
Kah do az-khud-raftagee se hai iraada duur kaa
Mooziyon ko haadson se dahr ke kya khauf hai
Baarish-e-baaraan se ghar girtaa nahin zamboor kaa
Chashm-e-saaghar be-sabab har dam lahoo rotee nahin
Mughbachon se saaqiyaa dil phaT gaya angoor kaa
Jaate hain mai-khaana-e-aalam se ham soo-e-adam
Kah do az-khud-raftagee se hai iraada duur kaa
Kee nazar jis par kudoorat se raha khaamosh wo
Hai asar gard-e-nigaah-e-yaar men sindoor kaa
Jalva-e-maashooq har jaa hai baseerat ho agar
Kirmak-e-shab-taab men aalam hai sham-e-toor kaa
Mar ke yaaraan-e-adam ke paas pahunchoongaa 'ameer'
Chalte chalte jaan jaa.egee safar hai duur kaa