kahaa jo main ne ki yuusuf ko ye hijaab na thaa

Ameer Minai

Kahaa jo main ne ki yoosuf ko ye hijaab na thaa To hans ke bole wo munh qaabil-e-naqaab na thaa Shab-e-visaal bhee wo shokh be-hijaab na thaa Naqaab ulaT ke bhee dekhaa to be-naqaab na thaa LipaT ke chuum liyaa munh miTaa diyaa un kaa Naheen kaa un ke sivaa is ke Kuch javaab na thaa Mire janaaze pe ab aate sharm aatee hai Halaal karne ko baiThe the jab hijaab na thaa Naseeb jaag uThe so ga.e jo paanv mire Tumhaare kooche se behtar maqaam-e-khvaab na thaa Ghazab kiyaa ki ise too ne mohtasib toDaa Are ye dil thaa miraa sheesha-e-sharaab na thaa Zamaana vasl men letaa hai karvaTen kya kya Firaaq-e-yaar ke din ek inqalaab na thaa Tumheen ne qatl kiyaa hai mujhe jo tante ho Akele the malak-ul-maut ham-rikaab na thaa Duaa-e-tauba bhee ham ne paDhee to mai pee kar Maza hee ham ko kisee shai kaa be-sharaab na thaa Main roo-e-yaar kaa mushtaaq ho ke aaya thaa Tire jamaal kaa shaidaa to ai naqaab na thaa Bayaan kee jo shab-e-gham kee bekasee to kahaa Jigar men dard na thaa dil men iztiraab na thaa Wo baiThe baiThe jo de baiThe qatl-e-aam kaa hukm Hansee thee un kee kisee par koee itaab na thaa Jo laash bhejee thee qaasid kee bhejte khat bhee Raseed wo to mire khat kee thee javaab na thaa Suroor-e-qatl se thee haath paanv ko jumbish Wo mujh pe vajd kaa aalam thaa iztiraab na thaa Sabaat bahr-e-jahaan men naheen kisee ko 'ameer' Idhar numood huaa aur udhar hubaab na thaa