kya roke qazaa ke vaar taaviiz
— Ameer Minai
Kya roke qazaa ke vaar ta.aveez
Qil.a hai na Kuch hisaar ta.aveez
ChoTee men hai mushk-baar ta.aveez
Yaa fitna-e-rozgaar ta.aveez
Donon ne na dard-e-dil miTaayaa
GanDe kaa hai rishta-daar ta.aveez
Kya naad-e-alee men bhee asar hai
Chaaron TukDe hain chaar ta.aveez
Dartaa hoon na sub.h ho shab-e-vasl
Hai mahr wo zar-nigaar ta.aveez
Ham ko bhee ho Kuch umeed-e-taskeen
Kho.e jo tap-e-khayaar ta.aveez
Pattaan ko jaD hamaaree pahunchee
GaaDaa tah-e-paa-e-yaar ta.aveez
Haajat naheen un ko nau-ratan kee
Baazoo pe hain paanch chaar ta.aveez
KhaTke wo na aa.e faatih.e ko
Dekhaa jo sar-e-mazaar ta.aveez
Pee jaa.enge ghol kar kise aap
Hai naqsh na khaaksaar ta.aveez
Ai turk Talen balaa.en sar se
Ik tegh kaa khat-e-hazaar ta.aveez
Dar hai tumhen kanknon se laazim
Laayaa to hai saada-kaar ta.aveez
Ikseer kaa nuskha is ko samjhoon
Kho.e jo tiraa ghubaar ta.aveez
Majma.a hai 'ameer' kee lahad par
Mele kaa hai ishtihaar ta.aveez