main ro ke aah karuungaa jahaan rahe na rahe
— Ameer Minai
Main ro ke aah karoongaa jahaan rahe na rahe
Zameen rahe na rahe aasmaan rahe na rahe
Rahe wo jaan-e-jahaan ye jahaan rahe na rahe
Makeen kee khair ho yaa rab makaan rahe na rahe
Abhee mazaar par ahbaab faatiha paDh len
Phir is qadar bhee hamaaraa nishaan rahe na rahe
Khuda ke vaaste kalma buton kaa paDh zaahid
Phir ikhtiyaar men ghaafil zabaan rahe na rahe
Khizaan to khair se guzree chaman men bulbul kee
Bahaar aa.ee hai ab aashiyaan rahe na rahe
Chalaa to hoon pa.e iz.haar-e-dard-e-dil dekhoon
Huzoor-e-yaar majaal-e-bayaan rahe na rahe
'ameer' jamaa hain ahbaab dard-e-dil kah le
Phir iltifaat-e-dil-e-dostaan rahe na rahe