mire bas men yaa to yaa rab wo sitam shiaar hota
— Ameer Minai
Mire bas men yaa to yaa-rab wo sitam-shi.aar hota
Ye na tha to kaash dil par mujhe ikhtiyaar hota
Pas-e-marg kaash yuun hee mujhe vasl-e-yaar hota
Wo sar-e-mazaar hota main tah-e-mazaar hota
Tiraa mai-kada salaamat tire khum kee khair saaqee
Miraa nashsha kyuun utartaa mujhe kyuun khumaar hota
Main hoon naa-muraad aisa ki bilak ke yaas rotee
Kaheen paa ke aasraa kuch jo umeed-vaar hota
Nahin poochhtaa hai mujh ko koi phuul is chaman men
Dil-e-daagh-daar hota to gale kaa haar hota
Wo mazaa diyaa taDap ne ki ye aarzoo hai yaa-rab
Mire donon pahluon men dil-e-be-qaraar hota
Dam-e-naz.a bhee jo wo but mujhe aa ke munh dikhaataa
To khuda ke munh se itnaa na main sharmsaar hota
Na malak savaal karte na lahad fishaar detee
Sar-e-raah-e-koo-e-qaatil jo miraa mazaar hota
Jo nigaah kee thee zaalim to phir aankh kyuun churaa.ee
Vahee tiir kyuun na maaraa jo jigar ke paar hota
Main zabaan se tum ko sachchaa kaho laakh baar kah duun
Ise kya karoon ki dil ko nahin aitbaar hota
Miree khaak bhee lahad men na rahi 'ameer' baaqee
Unhen marne hee kaa ab tak nahin aitbaar hota