pahle to mujhe kahaa nikaalo
— Ameer Minai
Pahle to mujhe kahaa nikaalo
Phir bole ghareeb hai bulaa lo
Be-dil rakhne se faa.eda kya
Tum jaan se mujh ko maar Daalo
Us ne bhee to dekhee hain ye aankhen
Aankh aarasee par samajh ke Daalo
Aayaa hai wo mah bujhaa bhee do sham.a
Parvaanon ko bazm se nikaalo
Ghabraa ke ham aa.e the soo-e-hashr
Yaan pesh hai aur maajraa lo
Takiye men gaya to main pukaaraa
Shab tiira hai jaago sone vaalo
Aur din pe 'ameer' takiya kab tak
Tum bhee to Kuch aap ko sambhaalo