pilaa saaqiyaa argavaanii sharaab
— Ameer Minai
Pilaa saaqiyaa arghavaanee sharaab
Ki piiree men de naujavaanee sharaab
Wo sho.ala hai saaqee ki ranjak kee tarah
UDaa detee hai naa-tavaanee sharaab
Kahaan baada-e-aish taqdeer men
Piyoon main to ho jaa.e paanee sharaab
Na laayaa hai sheesha na jaam-o-suboo
Pilaataa hai saaqee zabaanee sharaab
Kahaan aql-e-barnaa kahaan aql-e-peer
Na.e se hai behtar puraanee sharaab
Mire chehra-e-zard ke aks se
Huee saaqiyaa za.afraanee sharaab
Hue mast dekhaa jo phoolon kaa rang
Piyaalon men thee arghavaanee sharaab
Kahaan chashma-e-khizr kaise khizar
Khizar hai miree zindagaanee sharaab
Khizar hoon agar main to jaa kar piyoon
Sar-e-chashma-e-zindagaanee sharaab
Gulistaan hai phoolon se kya laal laal
Chale saaqiyaa arghavaanee sharaab
Ajab saaqiyaa gandumee rang hai
Ki partav se bantee hai dhaanee sharaab
Rahe taaq par paarsaa.ee 'ameer'
Pilaa.e jo wo yaar-e-jaanee sharaab