qibla e dil kaaba e jaan aur hai
— Ameer Minai
Qibla-e-dil kaaba-e-jaan aur hai
Sajda-gaah-e-ahl-e-irfaan aur hai
Ho ke khush kaTvaate hain apne gale
Aashiqon kee eed-e-qurbaan aur hai
Roz-o-shab yaan ek see hai raushnee
Dil ke daaghon kaa charaaghaan aur hai
Khaal dikhlaatee hai phoolon kee bahaar
Bulbulo apna gulistaan aur hai
Qaid men aaraam aazaadee vabaal
Ham giraftaaron kaa zindaan aur hai
Bahr-e-ulfat men naheen kashtee kaa kaam
Nuuh se kah do ye toofaan aur hai
Kis ko andesha hai barq o sail se
Apna khirman kaa nigahbaan aur hai
Dard wo dil men wo siine par hai daagh
Jis kaa marham jis kaa darmaan aur hai
Ka.aba-roo mehraab-e-abroo ai 'ameer'
Apnee taa.at apna eemaan aur hai