saraktii jaae hai rukh se naqaab aahista aahista

Ameer Minai

Saraktee jaa.e hai rukh se naqaab aahista aahista Nikaltaa aa raha hai aaftaab aahista aahista Javaan hone lage jab wo to ham se kar liyaa parda Hayaa yak-lakht aa.ee aur shabaab aahista aahista Shab-e-furqat kaa jaagaa hoon farishto ab to sone do Kabhi fursat men kar lenaa hisaab aahista aahista Savaal-e-vasl par un ko adoo kaa khauf hai itnaa Dabe honTon se dete hain javaab aahista aahista Wo bedardee se sar kaaTen 'ameer' aur main kahoon un se Huzoor aahista aahista janaab aahista aahista