tiir par tiir lagaao tumhen dar kis kaa hai
— Ameer Minai
Tiir par tiir lagaao tumhen Dar kis kaa hai
Siina kis kaa hai miree jaan jigar kis kaa hai
Khauf-e-meezaan-e-qayaamat naheen mujh ko ai dost
Too agar hai mire palle men to Dar kis kaa hai
Koee aataa hai adam se to koee jaataa hai
Sakht donon men khuda jaane safar kis kaa hai
Chhup raha hai qafas-e-tan men jo har taa.ir-e-dil
Aankh khole hue shaaheen-e-nazar kis kaa hai
Naam-e-shaa.ir na sahee sher kaa mazmoon ho khuub
Phal se matlab hamen kya kaam shajar kis kaa hai
Said karne se jo hai taa.ir-e-dil ke munkir
Ai kamaan-daar tire tiir men par kis kaa hai
Meree hairat kaa shab-e-vasl ye baa.is hai 'ameer'
Sar ba-zaanoo hoon ki zaanoo pe ye sar kis kaa hai