waada e vasl aur wo Kuch baat hai
— Ameer Minai
Va.ada-e-vasl aur wo Kuch baat hai
Ho na ho is men bhee koi ghaat hai
Khalq naahaq darpai-e-isbaat hai
Hai dahan us kaa kahaan ik baat hai
Bosa-e-chaah-e-zankhdaan ghair len
Doob marne kee ye ai dil baat hai
Ghar se nikle ho nihatte vaqt-e-qatl
Ye bhee bahr-e-qatl-e-aashiq ghaat hai
Main ne itnaa hee kahaa banvaao khat
Ye bigaDne kee bhalaa kya baat hai
Ba.ad muddat bakht jaage hain mire
BaiThe hain sone ko saaree raat hai
Kya karoon vasf-e-butaan-e-khud-pasand
In se baDh kar bas khuda kee zaat hai
Baaton baaton men jo main Kuch kah gaya
Hans ke farmaane lage kya baat hai
Harf-e-matlab saaf kah saktaa nahin
Hai adab maan.e ki pahlee raat hai
Mujh se ho iz.haar-e-ulfat vaah-vaa
Aap ke farmaane kee ye baat hai
Ro rahe hain ham milaa de lab se lab
Mai-kashee ho saaqiyaa barsaat hai
Zach hai teree chaal se raftaar-e-charkh
Mohr-e-rukh se baazee-e-mah maat hai
Kaisee kaTtee hai siyah-bakhtee men umr
Raat se din din se bad-tar raat hai
ChheDtaa hai dil ko kya ai dard-e-hijr
Khud giraftaar-e-hazaar-aafaat hai
Ai ghanee de seem-o-zar vaqt-e-balaa
Maal-e-Dunya jaan kee khairaat hai
Gar jagah dil men nahin phir is se kya
Ye doshambe kee ye budh kee raat hai
Saaf kah de too yahaan aayaa na kar
Yaar ye sau baat kee ik baat hai
Lakht-e-dil hain mere khaane ko 'ameer'
Bas inheen TukDon pe ab auqaat hai