yaa rab shab e visaal ye kaisaa gajar bajaa

Ameer Minai

Yaa-rab shab-e-visaal ye kaisaa gajar bajaa Agle pahar ke saath hee pichhlaa pahar bajaa Awaaz-e-soor sun ke kahaa dil ne qabr men Kis kee baraat aa.ee ye baajaa kidhar bajaa Kahte hain aasmaan jo tumhaare makaan ko ham Kahtaa hai aaftaab durust aur qamar bajaa Jaago naheen ye khvaab kaa mauqa.a musaafiro Naqqaaraa tak bhee coach kaa vaqt-e-sahar bajaa Ta.ameer maqbare kee hai laazim bajaa.e-qasr Zar-daaron se kaho ki karen sarf-e-zar bajaa Hain ham to shaadmaan ki hai khat men payaam-e-vasl Baghlen khushee se too bhee to ai naama-bar bajaa Tujh ko naheen jo un se mohabbat kahaan mujhe Taalee na ek haath se ai be-khabar bajaa Nafrat hai ye khushee se ki ashk ...apne gir paDe Ham-raah ta.aziya ke bhee baajaa agar bajaa Jaa-e-qayaam manzil-e-hastee na thee 'ameer' Utre the ham siraa men ki kos-e-safar bajaa