aabla

Amjad Islam Amjad

Udaasee ke ufuq par jab tumhaaree yaad ke jugnoo chamakte hain To meree ruuh par rakkhaa huaa ye hijr kaa patthar Chamaktee barf kee soorat pighaltaa hai! Agarche yuun pighalne se ye patthar, sang-reza to nahin bantaa! Magar ik hausla saa dil ko hota hai, Ki jaise sar-ba-sar taareek shab men bhee Agar ik zard-roo, sahmaa huaa taaraa nikal aa.e To qaatil raat kaa be-ism jaadoo Toot jaataa hai Musaafir ke safar kaa raasta to kam nahin hota Magar taare kee chilman se Koee bhoolaa huaa manzar achaanak jagmagaataa hai! Sulagte paanv men ik aabla saa phuuT jaataa hai Udasi ke ufuq par jab tumhaari yaad ke jugnu chamakte hain To meri ruh par rakkha hua ye hijr ka patthar Chamakti barf ki surat pighalta hai! Agarche yun pighalne se ye patthar, sang-reza to nahin banta! Magar ek hausla sa dil ko hota hai, Ki jaise sar-ba-sar tarik shab mein bhi Agar ek zard-ru, sahma hua tara nikal aae To qatil raat ka be-ism jadu TuT jata hai Musafir ke safar ka rasta to kam nahin hota Magar tare ki chilman se Koi bhula hua manzar achanak jagmagata hai! Sulagte panw mein ek aabla sa phuT jata hai