aankhon se ik khvaab guzarne vaalaa hai
— Amjad Islam Amjad
Aankhon se ik khvaab guzarne vaalaa hai
KhiDkee se mahtaab guzarne vaalaa hai
Sadiyon ke in khvaab-gazeeda shahron se
Mahr-e-aalam-taab guzarne vaalaa hai
Jaadoogar kee qaid men the jab shahzaade
Qisse kaa wo baab guzarne vaalaa hai
SannaaTe kee dahshat baDhtee jaatee hai
Bastee se sailaab guzarne vaalaa hai
Dariyaaon men ret uDegee sahraa kee
Sahraa se girdaab guzarne vaalaa hai
Maulaa jaane kab dekhenge aankhon se
Jo mausam shaadaab guzarne vaalaa hai
Hastee 'amjad' deevaane kaa khvaab sahee
Ab to ye bhee khvaab guzarne vaalaa hai
Aankhon se ek KHwab guzarne wala hai
KhiDki se mahtab guzarne wala hai
Sadiyon ke in KHwab-gazida shahron se
Mahr-e-alam-tab guzarne wala hai
Jadugar ki qaid mein the jab shahzade
Qisse ka wo bab guzarne wala hai
SannaTe ki dahshat baDhti jati hai
Basti se sailab guzarne wala hai
Dariyaon mein ret uDegi sahra ki
Sahra se girdab guzarne wala hai
Maula jaane kab dekhenge aankhon se
Jo mausam shadab guzarne wala hai
Hasti 'amjad' diwane ka KHwab sahi
Ab to ye bhi KHwab guzarne wala hai