aashob e aagahii
— Amjad Islam Amjad
Koi batlaa.e mujhe
Mere in jaagte khawabon kaa muqaddar kya hai?
Main ki har shai kee baqaa jaantaa hoon
UDte lamhon kaa pataa jaantaa hoon
Sard aur zard sitaaron kee tiqaapoo kya hai
Rang kya chiiz hai khushboo kya hai
Sub.h kaa sehr hai kya, raat kaa jaadoo kya hai
Aur kya chiiz hai awaaz-e-sabaa jaantaa hoon
Ret aur naqsh-e-qadam mauj kaa rum
Aankh aur gosha-e-lab zulf kaa kham
Shaam aur sub.h kaa gham
Sab kee qismat hai fanaa jaantaa hoon
Phir bhee ye khvaab mire saath lage rahte hain
Jaagte khvaab ki jin kee koi ta.abeer nahin
Koee tafseer nahin
Soorat-e-zakhm hare rahte hain
Mere haathon se pare rahte hain
Aagahee jahl se bad-tar Thahree
Jaagte khvaab kee ta.abeer muqaddar Thahree
Zindagee mere liye gumbad-e-be-dar Thahree
Main ki awaaz-e-sabaa jaantaa hoon
UDte lamhon kaa pataa jaantaa hoon
Aur har shai kee baqaa jaantaa hoon
Koi batlae mujhe
Mere in jagte KHwabon ka muqaddar kya hai?
Main ki har shai ki baqa jaanta hun
UDte lamhon ka pata jaanta hun
Sard aur zard sitaron ki tiqapu kya hai
Rang kya chiz hai KHushbu kya hai
Subh ka sehr hai kya, raat ka jadu kya hai
Aur kya chiz hai aawaz-e-saba jaanta hun
Ret aur naqsh-e-qadam mauj ka rum
Aankh aur gosha-e-lab zulf ka KHam
Sham aur subh ka gham
Sab ki qismat hai fana jaanta hun
Phir bhi ye KHwab mere sath lage rahte hain
Jagte KHwab ki jin ki koi tabir nahin
Koi tafsir nahin
Surat-e-zaKHm hare rahte hain
Mere hathon se pare rahte hain
Aagahi jahl se bad-tar Thahri
Jagte KHwab ki tabir muqaddar Thahri
Zindagi mere liye gumbad-e-be-dar Thahri
Main ki aawaz-e-saba jaanta hun
UDte lamhon ka pata jaanta hun
Aur har shai ki baqa jaanta hun