aate jaate din aate jaate din kya kahte hain sun
— Amjad Islam Amjad
Aate jaate din kya kahte hain sun
Ilm ke chaand charaagh se saathee
Jeevan ke is baagh se saathee
Saaree kaliyaan chun
Aate jaate din kya kahte hain sun
Aadhaa hai eemaan safaa.ee
Jis ne aadat ye apna.ee
Us kaa raushan naam hai saathee
Sab se bhalaa ye kaam hai saathee
Sab se achchhaa gun
Achchhee aankhen achchhe khvaab
Saaz hai dunya dil mizraab
Chaaron jaanib pyaar ho saathee
Har ik raah bahaar ho saathee
Dil men ho jo dhun
Aate jaate din kya kahte hain sun
Aate jate din kya kahte hain sun
Ilm ke chand charagh se sathi
Jiwan ke is bagh se sathi
Sari kaliyan chun
Aate jate din kya kahte hain sun
Aadha hai iman safai
Jis ne aadat ye apnai
Us ka raushan nam hai sathi
Sab se bhala ye kaam hai sathi
Sab se achchha gun
Achchhi aankhen achchhe KHwab
Saz hai duniya dil mizrab
Chaaron jaanib pyar ho sathi
Har ek rah bahaar ho sathi
Dil mein ho jo dhun
Aate jate din kya kahte hain sun