ammaan mujh ko basta de de ammaan mujh ko basta de de

Amjad Islam Amjad

Ammaan mujh ko basta de de Duniyaa mujh ko rasta de de Jaanaa hai schol mujhe to jaanaa hai schol Jaan sakoon ki achchhaa kya hai Kharaa hai kyuun kar khoTaa kya hai Haq aur farz men farq hai kitnaa Sach aur jhuuT kaa jhagDaa kya hai Ammaan mujh ko basta de de Duniyaa mujh ko rasta de de Jaanaa hai schol mujhe to jaanaa hai schol Aag havaa paanee aur miTTee Taare kyuun hain kya ye zameen hai Ham hain kyuun ye dunya kya hai Harf hee sab raazon kaa amiin hai Ammaan mujh ko basta de de Duniyaa mujh ko rasta de de Jaanaa hai schol mujhe to jaanaa hai schol Amman mujh ko basta de de Duniya mujh ko rasta de de Jaana hai school mujhe to jaana hai school Jaan sakun ki achchha kya hai Khara hai kyun kar khoTa kya hai Haq aur farz mein farq hai kitna Sach aur jhuT ka jhagDa kya hai Amman mujh ko basta de de Duniya mujh ko rasta de de Jaana hai school mujhe to jaana hai school Aag hawa pani aur miTTi Tare kyun hain kya ye zamin hai Hum hain kyun ye duniya kya hai Harf hi sab raazon ka amin hai Amman mujh ko basta de de Duniya mujh ko rasta de de Jaana hai school mujhe to jaana hai school