buzdil
— Amjad Islam Amjad
Hujoom-e-sang-e-anaa aur zabt-e-paiham ne
Misaal-e-reg-e-ravaan be-qaraar rakkhaa hai
Mire vajood kee vahshat ne raat bhar mujh ko
Ghubaar-e-qaafila-e-intizaar rakkhaa hai
Ba-pesh-e-khidmat-e-chashm-e-saraab-aalooda
Havaa ne dast-e-talab baar baar rakkhaa hai
Main teree yaad ke jaadoo men tha sahar mujh ko
Na-jaane kaun see manzil pe laa ke chhoD ga.ee
Ki saans saans men tere badan kee khushboo hai
Qadam qadam pe tiree aahaTon kaa Deraa hai
Magar nazar men faqat shab-zada saveraa hai
Tahee tahee se manaazir hain gard gard fazaa
Mataa-e-umr vahee ek khvaab teraa hai
Tire jamaal kaa partav nahin magar phir bhee
Khayaal aa.eena-khaana sajaa.e baiThaa hai
Jidhar bhee aankh uThaataa hoon ek vahshat hai
Too hee bataa ki kahaan tak fareb duun khud ko
Ki meraa aks mire khauf kee shahaadat hai
Miraa vajood hai aur shahr-e-sang-baaraan hai
Bachaa.oon jaan ki ta.ameer-e-qasr-e-zaat karoon
Main apna haath baghal men dabaa.e sochtaa hoon
Mire naseeb men suraj kahaan jo baat karoon
Main vaadiyon kee masaafat se kis liye nikloon
Safar ik aur pahaaDon ke paar rakkhaa hai
Hujum-e-sang-e-ana aur zabt-e-paiham ne
Misal-e-reg-e-rawan be-qarar rakkha hai
Mere wajud ki wahshat ne raat bhar mujh ko
Ghubar-e-qafila-e-intizar rakkha hai
Ba-pesh-e-KHidmat-e-chashm-e-sarab-aluda
Hawa ne dast-e-talab bar bar rakkha hai
Main teri yaad ke jadu mein tha sahar mujh ko
Na-jaane kaun si manzil pe la ke chhoD gai
Ki sans sans mein tere badan ki KHushbu hai
Qadam qadam pe teri aahaTon ka Dera hai
Magar nazar mein faqat shab-zada sawera hai
Tahi tahi se manazir hain gard gard faza
Mata-e-umr wahi ek KHwab tera hai
Tere jamal ka partaw nahin magar phir bhi
KHayal aaina-KHana sajae baiTha hai
Jidhar bhi aankh uThata hun ek wahshat hai
Tu hi bata ki kahan tak fareb dun KHud ko
Ki mera aks mere KHauf ki shahadat hai
Mera wajud hai aur shahr-e-sang-baran hai
Bachaun jaan ki tamir-e-qasr-e-zat karun
Main apna hath baghal mein dabae sochta hun
Mere nasib mein suraj kahan jo baat karun
Main wadiyon ki masafat se kis liye niklun
Safar ek aur pahaDon ke par rakkha hai