daam e khushbuu men giraftaar sabaa hai kab se

Amjad Islam Amjad

Daam-e-khushboo men giraftaar sabaa hai kab se Lafz iz.haar kee uljhan men paDaa hai kab se Ai kaDee chup ke dar o baam sajaane vaale Muntazir koi sar-e-koh-e-nidaa hai kab se Chaand bhee meree tarah husn-shanaasaa niklaa Us kee deevaar pe hairaan khaDaa hai kab se Baat kartaa hoon to lafzon se mahak aatee hai Koee anfaas ke parde men chhupaa hai kab se Shobada-baazi-e-aa.eena-e-ehsaas na poochh Hairat-e-chashm vahee shokh qabaa hai kab se Dekhiye Khoon kee barsaat kahaan hotee hai Shahr par chhaa.ee huee surkh ghaTaa hai kab se Kor-chashmon ke liye aa.eena-khaana maaloom Varna har zarra tiraa aks-numaa hai kab se Khoj men kis kee bharaa shahr lagaa hai 'amjad' DhoonDtee kis ko sar-e-dasht havaa hai kab se Dam-e-KHushbu mein giraftar saba hai kab se Lafz izhaar ki uljhan mein paDa hai kab se Ai kaDi chup ke dar o baam sajaane wale Muntazir koi sar-e-koh-e-nida hai kab se Chand bhi meri tarah husn-shanasa nikla Us ki diwar pe hairan khaDa hai kab se Baat karta hun to lafzon se mahak aati hai Koi anfas ke parde mein chhupa hai kab se Shobada-bazi-e-aina-e-ehsas na puchh Hairat-e-chashm wahi shoKH qaba hai kab se Dekhiye KHun ki barsat kahan hoti hai Shahr par chhai hui surKH ghaTa hai kab se Kor-chashmon ke liye aaina-KHana malum Warna har zarra tera aks-numa hai kab se Khoj mein kis ki bhara shahr laga hai 'amjad' DhunDti kis ko sar-e-dasht hawa hai kab se