dil ke Dariya ko kisi roz utar jaanaa hai

Amjad Islam Amjad

Dil ke Dariya ko kisee roz utar jaanaa hai Itnaa be-samt na chal lauT ke ghar jaanaa hai Us tak aatee hai to har chiiz Thahar jaatee hai Jaise paanaa hee use asl men mar jaanaa hai Bol ai shaam-e-safar rang-e-rihaa.ee kya hai Dil ko ruknaa hai ki taaron ko Thahar jaanaa hai Kaun ubharte hue mahtaab kaa rasta roke Us ko har taur soo-e-dasht-e-sahar jaanaa hai Main khilaa hoon to usee khaak men milnaa hai mujhe Vo to khushboo hai use agle nagar jaanaa hai Vo tire husn kaa jaadoo ho ki meraa gham-e-dil Har musaafir ko kisee ghaaT utar jaanaa hai Dil ke dariya ko kisi roz utar jaana hai Itna be-samt na chal lauT ke ghar jaana hai Us tak aati hai to har chiz Thahar jati hai Jaise pana hi use asl mein mar jaana hai Bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai Dil ko rukna hai ki taron ko Thahar jaana hai Kaun ubharte hue mahtab ka rasta roke Us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jaana hai Main khila hun to usi KHak mein milna hai mujhe Wo to KHushbu hai use agle nagar jaana hai Wo tere husn ka jadu ho ki mera gham-e-dil Har musafir ko kisi ghaT utar jaana hai