jab bhi aaankhon men tire vasl kaa lamha chamkaa
— Amjad Islam Amjad
Jab bhee aankhon men tire vasl kaa lamha chamkaa
Chashm-e-be-aab kee dahleez pe Dariya chamkaa
Fasl-e-gul aa.ee khule baagh men khushboo ke alam
Dil ke saahil pe tire naam kaa taaraa chamkaa
'aks be-naqsh hue aa.ine dhundlaane lage
Dard kaa chaand sar-e-baam-e-tamannaa chamkaa
Rang aazaad hue gul kee girah khulte hee
Ek lamhe men 'ajab baagh kaa chehraa chamkaa
Pairahan men bhee tiraa husn na tha hashr se kam
Jab khule band-e-qabaa aur hee naqsha chamkaa
Dil kee deevaar pe Udhte rahe malboos ke rang
Der tak un men tiree yaad kaa saayaa chamkaa
Ruuh kee aankh chakaa-chaund huee jaatee hai
Kis kee aahaT kaa mire kaan men naghma chamkaa
Lahren uTh uTh ke magar us kaa badan choomtee thiin
Vo jo paanee men gaya khuub hee Dariya chamkaa
Hijr panpaa na tiraa vasl hamen raas aayaa
Kisee maidaan men taaraa na hamaaraa chamkaa
Jaise baarish se dhule sehn-e-gulistaan 'amjad'
Aankh jab khushk huee aur wo chehraa chamkaa
Jab bhi aankhon mein tere wasl ka lamha chamka
Chashm-e-be-ab ki dahliz pe dariya chamka
Fasl-e-gul aai khule bagh mein KHushbu ke alam
Dil ke sahil pe tere nam ka tara chamka
'aks be-naqsh hue aaine dhundlane lage
Dard ka chand sar-e-baam-e-tamanna chamka
Rang aazad hue gul ki girah khulte hi
Ek lamhe mein 'ajab bagh ka chehra chamka
Pairahan mein bhi tera husn na tha hashr se kam
Jab khule band-e-qaba aur hi naqsha chamka
Dil ki diwar pe Udhte rahe malbus ke rang
Der tak un mein teri yaad ka saya chamka
Ruh ki aankh chaka-chaund hui jati hai
Kis ki aahaT ka mere kan mein naghma chamka
Lahren uTh uTh ke magar us ka badan chumti thin
Wo jo pani mein gaya KHub hi dariya chamka
Hijr panpa na tera wasl hamein ras aaya
Kisi maidan mein tara na hamara chamka
Jaise barish se dhule sehn-e-gulistan 'amjad'
Aankh jab KHushk hui aur wo chehra chamka